Sad shayari in Hindi for girlfriend
Sad shayari in Hindi for Girlfriend
Sad shayari in Hindi for Girlfriend
Ishq ho jane ke baad gum hi milega, ye janne ke baad bhi us had tak ishq karne ke baad bhi, bewafai aur judai par yeh kuch sad love shayari hai aapki girlfriend ko share karne ke liye.
“Kuch zakhm to taumar ke hai, Umar ke saath jayenge, jism ke khak hone par”.
“Na wo huye hamare, na hamara hume rehne diye”.
“Mukammal hone ki jarurat nahi, Kuch rishte adhure bhi behad khubsoorat hain”.
“Kuch nahi hai fayda iss qaid se azad hone ka, Maja kuch aur hai, ishq mein barbaad hone ka”.
“Jaise kahin rakh ke bhool gaye ho kahin, wo befikaar waqt”.
Ap pyaar ke naam se ishq ke naam se ab darne lage hai ki ab kisi aur se pyaar karne ki himmat nahi bachi apme iske liye ye kuch dard bhari sad shayari collection apke love ke liye.
“Khayalo se darr sa ho gaya hai, ye toot te bahut hai”.
“Zamane ne tod kar tukado me, kitne hi dil, beghar kiye hain; rishton ka Gago me bandh kar”.
“Hum roj sayariyo me unse bate kiya karte hai, Kambakkht gustakh ye raate sone nahi deti”.
“Ab jhakham mil hi chuke hain, to choot se dard kaisa, Kuch nisaa hai, kuch aur sahi”.
“Nikal kar garam chaku se dil, chain nahi, kambakht ko, namak liye khade hai, zakhm pe ragadne ko”.
“Wo dete jo jehar to nazaro me aa jate duniya ke, So unhone kiya yu ki, waqt per dawa he na di”.
H2: Heart touching sad shayari in hindi for girlfriend
“Khawabo me roj jeeta hu wo jindagi, Jo caahi thi haqiqat me tere sath kabhi”.
“Wo shakhs jo meri kahaani ke har hisse me aaya, Wo mera ho kar bhi mere hisse me na ho saka”.
“Aisa nahi ki tere baad ahel-e-karam na mile, tujh sa nahi mila koi magar log to kam na mile, ek teri judaai ka dard ki baat aur hai, Jinko seh na sake ye dil, aise to gum na mile”.
“Na milta gham to barbadi ke afsane kahan jaate, Chaman hoti agar duniya to veerane kahan jaate”.
“Sirf Mohabbat hee ek aisa khel hai jo seekh jata hai wo he haar jata hai”.
“Jinka likha mukaddar me na ho, Mohabbat unse kasam; be kamaal hoti hai”.
“Na wo mili, Na mai ruka, Na jane rasta galat hai ya manzil”.
“Na poora jal paya kabhi, na bujh he paya, ye sulga jo ishq, gili lakdi sa hai”.
“Milo kisi gair se jara door hi rakh kar; bahut tadpati hai aksar seene se lagane wale”.
Darde Dil Shayari for GF
Share your intense feelings with this shayari, especially written for your girlfriend. Aiye haal-e-dil karte hai bayan, in darde dil shayari see.
“Mohabbat kuch aur to na thi, jaal hi lagi hume tamam na umeed uljhano me lipti khwahishon ke siva”.
“Ye kitaben bhi meri tarah hain, Alfaaz see bhare magar fir bhi khamosh”.
“Baat ye alag hai ki dikhti nahi, Magar shamil to jarur hai, Khudkhushi karne walo ke bhi, to katil hazar hote hain”.
“Hum to bane hi the hone ko tabah, Tera chod jana to mehaz bahana sa hai”.
“Ab na kholo mere dil ke udaas darwaaze, Hawa ke shor meri uljhane bada dete hai”.
“Ek ye khwahish ki koi zakhm an dekhe dil ke, Ek dil ki ye hasrat ke koi dekhne wala to hota”.
“Kuch tabiyat ae kismat he aise mili hume, Chain se jeene ki soorat na huyi, Jisko chaha use apna na sake, Jo mila us se mohabbat na hui”.
“Ek tujh bin na gujari ye jindagi meri, bata mai kya karoon sare zamane ki khushi lekar”.
“Halat-e-marz kuch aisi hui hai, ke tujhse due raha bhi an jata, Aur kismat-e-khata ne kuch aisa hua ha, Ki lakeeren tujhse Judi nahi”.
“Kuch dard ke hisse nahi hote, Akele jeena padta hai inke saath”.
“Hazaron dard, dabi sachhaiya chupi hoti hai khamosh chehre ke piche, Kuch unhe pad kar khamosh rehne ko majboor hote hain, Kuch karte hai dua unke taumar khamoshiyo ki, Ha magar we khamosh chehre dafan rehte hai”.
